Maine Zindagi ka har roop dekha hai
Kabhi chhaanv toh kabhi dhoop dekha hai
Yuh toh tanhaiyon me haste hai log
Par bheed me bhi akele rote dekha hai
Maine logon ke hothon me hasi
aur aankhon me nami dekha hai
Par khudh ki un aasu bhare aankhon se
Dard chupake muskurate dekha hai
Maine Zindagi ka har roop dekha hai
Kabhi chhaanv toh kabhi dhoop dekha hai
Zindagi ke iss khushnuma safar me
kuch raahi bina izaazat ke thahar gye
Par jinka vaadha tha saath rehne ka
Unko vaada tod ke jaate hue dekha hai
Suna hai uparwale ne naseeb hatho ki
lakheeron me bheja hai
Par maine in gehri lakheeron se bhi
kismat ko fisalte dekha hai
Maine Zindagi ka har roop dekha hai
Kabhi chhaanv toh kabhi dhoop dekha hai